Obaidur Rahman

shuur tak abhi unki kahan rasai hai

Obaidur Rahman

Muzaffarpur, Bihar, India

1961-2014
shu.ūr tak abhī un kī kahāñ rasā.ī hai
abhī to kitne ḳhudāoñ kī vaañ ḳhudā.ī hai
gumān-e-tīrgī raḳhshandagī pe hone lagā
dayār-e-shab ne ajab dāstāñ sunā.ī hai
ab is pe duur nikal aa.e to ḳhafā kyuuñ ho
ye raah bhī to tumhī ne hameñ dikhā.ī hai
kabhī jo mujh se mile vo rahe ḳhamosh magar
pas-e-sukūt-e-zabāñ ḳhuub ham-navā.ī hai
har ek fikr kī tah meñ ho jazba-e-ḳhālis
bahut hī saḳht taqāzā-e-pārsā.ī hai
bahut hī ḳhuub ki dariyā ke paas rahte ho
kaho ki pyaas bhī apnī kabhī bujhā.ī hai
jo ḳhud hī jāda-o-manzil se nā-balad hai 'obaid'
ajiib baat yahāñ us kī rahnumā.ī hai
Top Urdushayar.com