shu.ūr  tak  abhī  un  kī  kahāñ  rasā.ī  hai
abhī  to  kitne  ḳhudāoñ  kī  vaañ  ḳhudā.ī  hai
gumān-e-tīrgī  raḳhshandagī  pe  hone  lagā
dayār-e-shab  ne  ajab  dāstāñ  sunā.ī  hai
ab  is  pe  duur  nikal  aa.e  to  ḳhafā  kyuuñ  ho
ye  raah  bhī  to  tumhī  ne  hameñ  dikhā.ī  hai
kabhī  jo  mujh  se  mile  vo  rahe  ḳhamosh  magar
pas-e-sukūt-e-zabāñ  ḳhuub  ham-navā.ī  hai
har  ek  fikr  kī  tah  meñ  ho  jazba-e-ḳhālis
bahut  hī  saḳht  taqāzā-e-pārsā.ī  hai
bahut  hī  ḳhuub  ki  dariyā  ke  paas  rahte  ho
kaho  ki  pyaas  bhī  apnī  kabhī  bujhā.ī  hai
jo  ḳhud  hī  jāda-o-manzil  se  nā-balad  hai  'obaid'
ajiib  baat  yahāñ  us  kī  rahnumā.ī  hai