shab  guzar  kar  bhī  añdherā  kam  nahīñ
us  kī  zulfeñ  to  kahīñ  barham  nahīñ
ġhair  ban  kar  jab  ga.e  is  bazm  meñ
ham  ne  dekhā  ham  se  vo  barham  nahīñ
haiñ  nazar  meñ  uljhaneñ  bhī  ziist  kī
varna  in  zulfoñ  meñ  itne  ḳham  nahīñ
pāsbān-e-gulistāñ  bante  haiñ  aur
imtiyāz-e-sho.ala-o-shabnam  nahīñ
aaj  bhī  pyāse  rahe  to  dekhnā
bazm  meñ  saaqī  nahīñ  bāham  nahīñ
ham  se  'ḳhāvar'  laakh  vo  barham  sahī
bad-gumāñ  ham  bhī  magar  kuchh  kam  nahīñ