Rahman Khawar

kya ye dekhen ki koi aur tamasha kya hai

Rahman Khawar

kyā ye dekheñ ki koī aur tamāshā kyā hai
ham ko ḳhud apne alāva nazar aatā kyā hai
ba.az dariyāoñ ke manzar bhī ajab hote haiñ
aadmī sochtā rah jaa.e ki sahrā kyā hai
vo to achchhā hai ki ham hī ḳhas-o-ḳhāshāk nahīñ
varna in tez havāoñ kā bharosa kyā hai
bujh ga.e haiñ jo diye phir se jalā.eñ ki nahīñ
koī batlāo hameñ rañg havā kā kyā hai
ho mulāqāt aur ehsās-e-mulāqāt na ho
terā milnā jo yahī hai to bichhaḌnā kyā hai
dasht ke dhuup ne ham ko ye batāyā 'ḳhāvar'
apne ghar ke dar-o-dīvār kā saaya kyā hai
Top Urdushayar.com