Rahman Khawar

muhaal tha ki ye tufan-e-rang-o-bu aae

Rahman Khawar

muhāl thā ki ye tūfān-e-rañg-o-bū aa.e

agar bahār tirā pairahan na chhū aa.e

bayān-e-dard aur is anjuman meñ dīvāno

kahāñ Dubo ke mohabbat aabrū aa.e

ye uñgliyāñ ki ab ik jaam ko tarastī haiñ

kabhī unhīñ se sitāroñ nabz chhū aa.e

na is qadar bhī takalluf se kaam lo ki sharāb

jo aa.e bhī to nazar ḳhūn-e-ārzū aa.e

hamārā ke bahaknā bhī kaam niklā

ki mai-kade meñ na.e sāġhar-o-subū aa.e

vo aa.ine the jo hairān ho ga.e 'ḳhāvar'

jamāl-e-dost hamāre rū-ba-rū aa.e

Top Urdushayar.com