siine  meñ  ik  shor  machā  hai
sannāTā  kitnā  gahrā  hai
aaj  bahut  kam  phuul  khile  haiñ
shāyad  mausam  badal  rahā  hai
sahrā  se  bāhar  niklūñ  to
har  rasta  ghar  kā  rasta  hai
vo  kyā  bichhḌā  maiñ  ne  sab  se
milnā-julnā  chhoḌ  diyā  hai
ghar  ke  andar  habs  hai  kitnā
bāhar  kitnī  tez  havā  hai
saḌkoñ  par  ik  bhiiḌ  hai  'ḳhāvar'
saarā  shahr  magar  tanhā  hai