Rahman Khawar

bichha hua koi tanhaiyon ka jal na tha

Rahman Khawar

bichhā huā koī tanhā.iyoñ kā jaal na thā
tire firāq se pahle ye ghar kā haal na thā
thake to yuuñ ki hameñ aarzū thī saa.e kī
sa.ūbatoñ se safar kī badan niDhāl na thā
kuchh aise moḌ pe bichhḌe the ham mohabbat meñ
mujhe bhī rañj use bhī koī malāl na thā
nigāh tū ne kisī aur hī pe kī hotī
jo ham shikasta diloñ kā tujhe ḳhayāl na thā
kabhī kabhī koī bādal baras bhī jaatā thā
zamīn-e-shahr kā itnā burā to haal na thā
chhupā huā mirā dushman thā ḳhud mire andar
so apne-āp se bachne kā kuchh savāl na thā
ga.e dinoñ kā tujhe dhyān tak nahīñ 'ḳhāvar'
tirā vo ishq yahī hai jise zavāl na thā
Top Urdushayar.com