tum  ġhair  se  milo  na  milo  maiñ  to  chhoḌ  duuñ
gar  is  vafā  pe  koī  kahe  bevafā  mujhe
sach  hai  tū  bad-gumāñ  hai  samajhtā  hai  kuchh  kā  kuchh
bosa  na  lenā  thā  tire  ā.īne  kā  mujhe
insāf  kar  ḳharāb  na  phirtā  maiñ  dar-ba-dar
miltī  jo  tere  gosha-e-ḳhātir  meñ  jā  mujhe
us  but  kī  maiñ  dikhā.ūñgā  tasvīr  vā.izo
phir  kyā  kahegā  dāvar-e-roz-e-jazā  mujhe
kyuuñ  un  se  vaqt-e-qatl  kiyā  shikva  ġhair  kā
karnī  thī  maġhfirat  hī  kī  apnī  duā  mujhe
pūchhe  jo  tujh  se  koī  ki  'taskīñ'  se  kyuuñ  milā
kah  diijo  haal  dekh  ke  rahm  aa  gayā  mujhe