naam  loge  jo  yaañ  se  jaane  kā
aap  meñ  phir  nahīñ  maiñ  aane  kā
ham  ko  tauf-e-haram  meñ  yaad  aayā
laḌkhaḌānā  sharāb-ḳhāne  kā
dam  le  ai  chashm-e-tar  ki  dekhūñ  maiñ
aalam  us  gul  ke  muskurāne  kā
dekh  sakte  nahīñ  vo  merā  haal
kyā  sabab  kahiye  muskurāne  kā
dil-e-sad-chāk  kī  banā  sūrat
zulf  par  dil  gayā  hai  shāne  kā
jalva  is  zid  se  vo  dikhā  deñge
ham  ko  da.avā  hai  taab  laane  kā
sun  ke  vo  haal  kahte  hai  'taskīñ'
naam  bhī  kuchh  hai  is  fasāne  kā