be-mehr  kahte  ho  use  jo  bevafā  nahīñ
sach  hai  ki  bevafā  huuñ  maiñ  tum  bevafā  nahīñ
uqda  jo  dil  meñ  hai  mire  hone  kā  vā  nahīñ
jab  tak  ki  aap  kholte  zulf-e-dotā  nahīñ
ayyārī  dekhnā  jo  gale  milne  ko  kaho
kahtā  hai  maiñ  to  tum  se  huā  kuchh  ḳhafā  nahīñ
ashkoñ  ke  saath  qatra-e-ḳhūñ  thā  nikal  gayā
siine  meñ  se  to  dil  ko  koī  le  gayā  nahīñ
jaltā  hai  sāda-lauhī  pe  kyā  apnī  jī  mirā
dil  le  ke  ab  jo  baat  vo  kartā  zarā  nahīñ
vo  pur-ḳhatar  hai  vādi-e-ulfat  ki  raah  meñ
kahte  haiñ  ḳhizr  haa.e  koī  rahnumā  nahīñ
kartā  huuñ  terī  zulf  se  dil  kā  mubādala
har-chand  jāntā  huuñ  ye  saudā  burā  nahīñ
kaise  vo  talḳh-tar  haiñ  mire  shor-e-ishq  se
qismat  se  apnā  chāhne  meñ  bhī  mazā  nahīñ
josh-e-junūñ  meñ  sar  pe  uḌā.eñ  kahāñ  se  ḳhaak
dil  kyā  gayā  ġhubār  hī  jī  meñ  rahā  nahīñ
dekhūñ  to  le  hai  jaan  malak-ul-maut  kis  tarah
tum  vaqt-e-marg  paas  se  uThnā  zarā  nahīñ
'taskīñ'  ne  naam  le  ke  tirā  vaqt-e-marg  aah
kyā  jaane  kyā  kahā  thā  kisī  ne  sunā  nahīñ