Shaad Aarfi

jazba-e-mohabbat ko tir-e-be-KHata paya

Shaad Aarfi

1900-1964
jazba-e-mohabbat ko tīr-e-be-ḳhatā paayā
maiñ ne jab use dekhā dekhtā huā paayā
jānte ho kyā paayā pūchhte ho kyā paayā
sub.h-dam darīche meñ ek ḳhat paḌā paayā
der meñ pahuñchne par bahs to huī lekin
us kī be-qarārī ko hasb-e-mudda.ā paayā
sub.h tak mire ham-rāh aañkh bhī na jhapkā.ī
maiñ ne har sitāre ko dard-āshnā paayā
girya-e-judā.ī ko sahl jānñe vaalo
dil se aañkh kī jānib ḳhuun dauḌtā paayā
ehtimām-e-parda ne khol diiñ na.ī rāheñ
vo jahāñ chhupā jā kar merā sāmnā paayā
dil ko moh letī hai dil-kashi-e-nazzāra
aañkh kī ḳhatāoñ meñ dil ko mubtalā paayā
rañg laa.ī nā āḳhir tark-e-nāz-bardārī
haath joḌ kar us ko mahv-e-iltijā paayā
'shād' ġhair-mumkin hai shikva-e-butāñ mujh se
maiñ ne jis se ulfat kī us ko bā-vafā paayā
Top Urdushayar.com