jazba-e-mohabbat  ko  tīr-e-be-ḳhatā  paayā
maiñ  ne  jab  use  dekhā  dekhtā  huā  paayā
jānte  ho  kyā  paayā  pūchhte  ho  kyā  paayā
sub.h-dam  darīche  meñ  ek  ḳhat  paḌā  paayā
der  meñ  pahuñchne  par  bahs  to  huī  lekin
us  kī  be-qarārī  ko  hasb-e-mudda.ā  paayā
sub.h  tak  mire  ham-rāh  aañkh  bhī  na  jhapkā.ī
maiñ  ne  har  sitāre  ko  dard-āshnā  paayā
girya-e-judā.ī  ko  sahl  jānñe  vaalo
dil  se  aañkh  kī  jānib  ḳhuun  dauḌtā  paayā
ehtimām-e-parda  ne  khol  diiñ  na.ī  rāheñ
vo  jahāñ  chhupā  jā  kar  merā  sāmnā  paayā
dil  ko  moh  letī  hai  dil-kashi-e-nazzāra
aañkh  kī  ḳhatāoñ  meñ  dil  ko  mubtalā  paayā
rañg  laa.ī  nā  āḳhir  tark-e-nāz-bardārī
haath  joḌ  kar  us  ko  mahv-e-iltijā  paayā
'shād'  ġhair-mumkin  hai  shikva-e-butāñ  mujh  se
maiñ  ne  jis  se  ulfat  kī  us  ko  bā-vafā  paayā