mayassar  jin  kī  nazroñ  ko  tire  gesū  ke  saa.e  haiñ
ġhazal  ke  ḳhushnumā  uslūb  un  ke  haath  aa.e  haiñ
yagāne  aur  begāne  ta.assub  ne  banā.e  haiñ
vagarna  sumbul  o  gul  ek  hī  gulshan  ke  jaa.e  haiñ
haqīqat  nāgavār-e-ḳhātir-e-nāzuk  na  ban  paa.ī
kuchh  is  taknīk  se  ham  ne  unheñ  qisse  sunā.e  haiñ
to  vo  andāz  jaise  merā  ghar  paḌtā  ho  raste  meñ
pa.e-iz.hār-e-hamdardī  vo  jab  tashrīf  laa.e  haiñ
naqāb-e-ruḳh  ulaT  kar  us  ne  chashm-e-shauq  ke  parde
samajh  meñ  kuchh  nahīñ  aatā  uThā.e  haiñ  girā.e  haiñ
damaktā  hai  jabīn-e-nāz  par  rañg-e-pashemānī
ab  un  se  kyā  kahā  jaa.e  ki  ye  sadme  uThā.e  haiñ
lagāvaT  kī  nigāhoñ  ne  charāġh-e-ārzū-e-mandī
jalā.e  haiñ  bujhā.e  bujhā.e  haiñ  jalā.e  haiñ
jinheñ  mīnā-e-mai  hāsil  hai  jin  ko  durd-e-paimāna
vo  jaise  aap  ke  apne  haiñ  ye  jaise  parā.e  haiñ
taġhāful  kī  koī  had  bhī  to  honī  chāhiye  āḳhir
bil-āḳhir  bin  bulā.e  ham  tirī  mahfil  meñ  aa.e  haiñ
nazar  aate  haiñ  taare  is  tarah  sāvan  kī  rātoñ  meñ
kisī  ne  phuul  kāġhaz  ke  samundar  meñ  bahā.e  haiñ
yaqīñ  hai  'shād'  mujh  ko  kulliyāt-e-nazm-e-fitrat  se
guloñ  ne  rañg-o-nik.hat  ke  bahut  mazmūñ  churā.e  haiñ