hoñToñ  par  mahsūs  huī  hai  āñkhoñ  se  ma.adūm  rahī  hai
phulvārī  kī  ''nighat-dulhan''  phulvārī  meñ  ghuum  rahī  hai
us  kā  āñchal  aur  āveze  merā  māthā  chuum  rahī  hai
phir  bhī  chashm-e-bad-tīnat  pur-ulfat  lā-ma.alūm  rahī  hai
har  mai-kash  kī  zehnī  laġhzish  is  mehvar  par  ghuum  rahī  hai
jaise  vo  sambhlā  baiThā  hai  jaise  mahfil  jhuum  rahī  hai
chunñā  hai  to  muskāne  se  pahle  chun  lo  koī  kalī  bhī
gulshan  meñ  khilne  se  pahle  tak  be-shak  ma.asūm  rahī  hai
tum  ishrat  se  fāriġh  ho  kar  mujh  se  pūchho  maiñ  vāqif  huuñ
kis  kis  bechāre  kī  ḳhvāhish  naġhmoñ  se  mahrūm  rahī  hai
is  se  us  se  merī  bābat  rozāna  sargoshī  ya.anī
bante  kyuuñ  ho  merī  hālat  tum  ko  bhī  ma.alūm  rahī  hai
piine  vāloñ  ke  kahne  se  ġham  se  chhuTkārā  paane  ko
pī  kar  bhī  merī  tanhā.ī  māyūs  o  maġhmūm  rahī  hai
aariz  aariz  sub.h-e-bahārāñ  gesū  gesū  shām-e-nasheman
vo  kyā  jaane  jis  kī  ġhaflat  jalvoñ  se  mahrūm  rahī  hai
maiñ  taḳh.īlī  naḳhlistāñ  meñ  āñkheñ  band  kiye  baiThā  huuñ
merī  mustaqbil-andeshī  manzil  manzil  ghuum  rahī  hai
varna  sīdhe-sāde  sajde  varna  sīdhī-sādī  hamdeñ
duniyā  kyā  aur  kyuuñ  ke  hāthoñ  bhārī  patthar  chuum  rahī  hai
hamdardī  ke  muñh  par  fan  kī  āñkheñ  khultī  haiñ  ai  'shād'
goyā  insānī  hamdardī  shā.er  kā  maqsūm  rahī  hai