Shaad Aarfi

chaman ko aag lagane ki baat karta hun

Shaad Aarfi

1900-1964
chaman ko aag lagāne kī baat kartā huuñ
samajh sako to Thikāne kī baat kartā huuñ
sahar ko sham jalāne kī baat kartā huuñ
ye ġhāfiloñ ko jagāne kī baat kartā huuñ
ravish ravish pe bichhā do babūl ke kāñTe
chaman se lutf uThāne kī baat kartā huuñ
vo bāġhbān jo paudoñ se bair rakhtā hai
ye aap hī ke zamāne kī baat kartā huuñ
sharāb-e-surḳh kī maujoñ se mudda.ā hogā
agar maiñ ḳhuun bahāne kī baat kartā huuñ
vo sirf apne liye jaam kar rahe haiñ talab
maiñ har kisī ko pilāne kī baat kartā huuñ
yahāñ charāġh tale luuT hai añdherā hai
kahāñ charāġh jalāne kī baat kartā huuñ
is anjuman se uThā huuñ kharī kharī kah kar
phir anjuman meñ na aane kī baat kartā huuñ
dabī zabāñ se guzārish hai nāgavār agar
to kyā savāl uThāne kī baat kartā huuñ
naqāb-e-rū-e-zamāna na uTh sakegī ki maiñ
guloñ se os uThāne kī baat kartā huuñ
ghise ho.uuñ ko na.ī fikr de rahā huuñ 'shād'
mañjhe ho.uuñ ko sikhāne kī baat kartā huuñ
Top Urdushayar.com