Shaad Aarfi

qadam sambhal ke baDhao ki raushni kam hai

Shaad Aarfi

1900-1964
qadam sambhal ke baḌhāo ki raushnī kam hai
agar ye bhuul na jaao ki raushnī kam hai
gharoñ ko aag lagāo ki raushnī kam hai
yahīñ se baat banāo ki raushnī kam hai
javāb ye ki koī rahnumā-e-qaum haiñ aap
agar kisī ko batāo ki raushnī kam hai
sahar ko shaam samajhnā jo bas kī baat nahīñ
yahī savāl uThāo ki raushnī kam hai
sharīk-e-bazm-e-siyāsat haiñ kuchh bure chehre
zarā qarīb to aao ki raushnī kam hai
sadā lagāo ki āñkheñ ajiib ne.amat haiñ
unheñ yaqīn dilāo ki raushnī kam hai
kahīñ jhapaT na paḌeñ din meñ mash.aleñ le kar
avaam ko na sujhāo ki raushnī kam hai
ravā nahīñ ki kisī Dūbte sitāre ko
charāġh-e-rāh banāo ki raushnī kam hai
savād-e-shām ke ḳhāmosh jugnuoñ se kaho
tumhīñ charāġh jalāo ki raushnī kam hai
zarā pahuñch ke to dekho savād-e-manzil tak
tum is ḳhabar pe na jaao ki raushnī kam hai
hazār saal to rahtā nahīñ ubūrī daur
fasād ḳhuub ugaao ki raushnī kam hai
ye shā.erān-e-ġhalat-bīñ kaheñge ik din 'shād'
hameñ charāġh dikhāo ki raushnī kam hai
Top Urdushayar.com