Shaad Aarfi

tare jo aasman se gire KHak ho gae

Shaad Aarfi

1900-1964
taare jo āsmāñ se gire ḳhaak ho ga.e
zarre uThe to barq-e-ġhazab-nāk ho ga.e
pursān-e-hāl dīda-e-namnāk ho ga.e
ye kab se aap sāhib-e-idrāk ho ga.e
anjām-e-imbisāt-e-chaman ke savāl par
itnā hañse ki phuul jigar-chāk ho ga.e
honā paḌegā qā.el-e-tāmīr-e-ahd-e-nau
jis din ġharīb darḳhur-e-imlāk ho ga.e
taftīsh-e-hāl-e-mausam-e-gul ko chale haiñ aap
ab jab ki āshiyāñ ḳhas-o-ḳhāshāk ho ga.e
saada diloñ ne rāhnumāyān-e-qaum se
itne fareb khaa.e ki chālāk ho ga.e
dah zehn vo dimāġh jo aa.e vatan ke kaam
nazr-e-nashāt-e-bāda-o-tiryāk ho ga.e
chhūTā na ham se dāman-e-tahzīb-e-anjuman
dushman zarā sī Dhiil pe be-bāk ho ga.e
taslīm kar na paa.e jinheñ ḳhāksār ham
vo aap kī balā se agar ḳhaak ho ga.e
sar par chaḌhā liyā hai jinheñ aaj aap ne
kal dekh leñge aap ḳhatarnāk ho ga.e
ham bhī imām-e-masjid-e-jāma kī tarah 'shād'
dho.e ga.e kuchh aise ki bas paak ho ga.e
Top Urdushayar.com