kahtā  hai  bāġhbān  lihāzā  na  chāhiye
varna  chaman  kā  haal  chhupānā  na  chāhiye
is  mashvara  ke  saath  ki  charchā  na  chāhiye
dil  kah  rahā  hai  un  pe  bharosa  na  chāhiye
paḌ  jaa.e  ḳhadd-o-ḳhāl-e-manāzir  pe  raushnī
itne  qarīb  se  bhī  nazāra  na  chāhiye
ham  ġhaur  kar  rahe  haiñ  to  mahfil  hai  fikr  meñ
uThnā  na  chāhiye  ki  uThānā  na  chāhiye
dastūr  hai  guzārish-e-ahvāl-e-vāqa.ī
qānūn  ye  nahīñ  hai  ki  shikva  na  chāhiye
tūfān-e-inqalāb  se  māyūsiyoñ  ke  ba.ad
kashtī  pukārtī  hai  kinārā  na  chāhiye
gul-hā-e-rañg-rañg  meñ  Thantī  nahīñ  kabhī
ham  ko  bhī  is  lihāz  se  jhagḌā  na  chāhiye
kaTtī  hai  aarzū  ke  sahāre  pe  zindagī
kaise  kahūñ  kisī  kī  tamannā  na  chāhiye
merā  qusūr  ye  hai  ki  hubb-e-vatan  meñ  'shād'
likhtā  huuñ  likh  chukā  huuñ  jo  likhnā  na  chāhiye