Taimur Hasan

maine baKHsh di teri kyun KHata tujhe ilm hai

Taimur Hasan

Lahore, Punjab, Pakistan

1974
maiñ ne baḳhsh dī tirī kyuuñ ḳhatā tujhe ilm hai
tujhe dī hai kitnī kaḌī sazā tujhe ilm hai
maiñ samajhtā thā tū hai apne husn se be-ḳhabar
tirī ik adā ne batā diyā tujhe ilm hai
mujhe zindagī ke qarīb le ga.ī justujū
marī justujū bhalā kaun thā tujhe ilm hai
maiñ ne dil kī baat kabhī na kī tire sāmne
mujhe umr bhar ye gumāñ rahā tujhe ilm hai
vo mirī galī jo mire liye huī ajnabī
kabhī vaañ the sab mire āshnā tujhe ilm hai
mirā haal dekh ke pūchhne lagā kyā huā
maiñ ne hañs ke sirf yahī kahā tujhe ilm hai
koī baat hai ki kināra-kash huuñ jahān se
kabhī mahfiloñ kī maiñ jaan thā tujhe ilm hai
Top Urdushayar.com