Shaad Aarfi

ba-pas-e-ehtiyat-e-arzu ye bar-ha hua

Shaad Aarfi

1900-1964
ba-pās-e-ehtiyāt-e-ārzū ye bār-hā huā
nikal gayā qarīb se vo haal pūchhtā huā
hijāb-e-ruḳh lahak uThā agar bahut ḳhafā huā
jabhī to ham se pai-ba-pai qusūr-e-mudda.ā huā
shikāyat-e-adm-e-tavajjohī bajā sahī magar
nasīb-e-ahl-e-anjuman nahīñ hai dil dukhā huā
amīn-e-rāz-e-ġham nahīñ haiñ dar-ḳhor-e-sitam nahīñ
palaT rahe haiñ aap hī pe aap kā kahā huā
uTheñgī merī vaj.h se jab aap par bhī uñgliyāñ
kaheñge phir to aap bhī ki vāqa.ī burā huā
hujūm-e-mā-sivā se bach ke manzil-e-murād tak
pahuñch gayā huuñ rahzanoñ se raah pūchhtā huā
kabhī kabhī ḳhulūs-e-be-ta.alluqī bhī chāhiye
nigāh maiñ ne pher lī to us kā sāmnā huā
zamāna-e-ubūr-e-inqalāb kī bhī umr hai
na shāḳh-e-āshiyāñ rahī na āshiyāñ jalā huā
nahīñ kuchh is se muḳhtalif giroh-e-bazm-e-raqs-o-mai
nikal gayā jo gulsitāñ meñ ḳhvāb dekhtā huā
ye kāvish-e-umīd-o-bīm bhī hai lazzat-āfrīñ
nazar udhar jamī huī naqāb-e-ruḳh uThā huā
ġhalat-bayāniyoñ ke ahd-e-nau meñ 'shād' aarfī
mirā kamāl-e-fan ye hai ki sirf mājrā huā
Top Urdushayar.com