koī  itnā  pyārā  kaise  ho  saktā  hai
phir  saare  kā  saarā  kaise  ho  saktā  hai
tujh  se  jab  mil  kar  bhī  udāsī  kam  nahīñ  hotī
tere  baġhair  guzārā  kaise  ho  saktā  hai
kaise  kisī  kī  yaad  hameñ  zinda  rakhtī  hai
ek  ḳhayāl  sahārā  kaise  ho  saktā  hai
yaar  havā  se  kaise  aag  bhaḌak  uThtī  hai
lafz  koī  añgārā  kaise  ho  saktā  hai
kaun  zamāne-bhar  kī  Thokareñ  khā  kar  ḳhush  hai
dard  kisī  ko  pyārā  kaise  ho  saktā  hai
ham  bhī  kaise  ek  hī  shaḳhs  ke  ho  kar  rah  jaa.eñ
vo  bhī  sirf  hamārā  kaise  ho  saktā  hai
kaise  ho  saktā  hai  jo  kuchh  bhī  maiñ  chāhūñ
bol  nā  mere  yaarā  kaise  ho  saktā  hai