ishq  ne  jab  bhī  kisī  dil  pe  hukūmat  kī  hai
to  use  dard  kī  me.arāj  ināyat  kī  hai
apnī  tā.īd  pe  ḳhud  aql  bhī  hairān  huī
dil  ne  aise  mire  ḳhvāboñ  kī  himāyat  kī  hai
shahr-e-ehsās  tirī  yaad  se  raushan  kar  ke
maiñ  ne  har  ghar  meñ  tire  zikr  kī  jur.at  kī  hai
mujh  ko  lagtā  hai  ki  insān  adhūrā  hai  abhī
tū  ne  duniyā  meñ  use  bhej  ke  ujlat  kī  hai
shahr  ke  tīra-tarīñ  ghar  se  vo  ḳhurshīd  milā
jis  kī  tanvīr  meñ  tāsīr  qayāmat  kī  hai
sochtā  huuñ  ki  maiñ  aise  meñ  kidhar  ko  jā.ūñ
terā  milnā  bhī  kaThin,  yaad  bhī  shiddat  kī  hai
is  tarah  auñdhe  paḌe  haiñ  ye  shikasta  jazbe
jaise  ik  vahm  ne  in  sab  kī  imāmat  kī  hai
ye  jo  bikhrī  huī  lāsheñ  haiñ  varaq  par  'javvād'
ye  mire  zabt  se  lafzoñ  ne  baġhāvat  kī  hai