hazār  sahrā  the  raste  meñ  yaar  kyā  kartā
jo  chal  paḌā  thā  to  fikr-e-ġhubār  kyā  kartā
kabhī  jo  Thiik  se  ḳhud  ko  samajh  nahīñ  paayā
vo  dūsroñ  pe  bhalā  e'tibār  kyā  kartā
chalo  ye  maanā  ki  iz.hār  bhī  zarūrī  hai
so  ek  baar  kiyā,  baar  baar  kyā  kartā
isī  liye  to  dar-e-ā.ina  bhī  vā  na  kiyā
jo  so  rahe  haiñ  unheñ  hoshiyār  kyā  kartā
vo  apne  ḳhvāb  kī  tafsīr  ḳhud  na  kar  paayā
jahān  bhar  pe  use  āshkār  kyā  kartā
agar  vo  karne  pe  aatā  to  kuchh  bhī  kar  jaatā
ye  soch  mat  ki  akelā  sharār  kyā  kartā
sivā.e  ye  ki  vo  apne  bhī  zaḳhm  taaza  kare
mire  ġhamoñ  pe  mirā  ġham-gusār  kyā  kartā
bas  ek  phuul  kī  ḳhātir  bahār  māñgī  thī
rutoñ  se  varna  maiñ  qaul-o-qarār  kyā  kartā
mirā  lahū  hī  kahānī  kā  rañg  thā  'javvād'
kahānī-kār  use  rañg-dār  kyā  kartā