aap  jaisoñ  ke  liye  is  meñ  rakhā  kuchh  bhī  nahīñ
lekin  aisā  to  na  kahiye  ki  vafā  kuchh  bhī  nahīñ
aap  kahiye  to  nibhāte  chale  jā.eñge  magar
is  ta.alluq  meñ  aziyyat  ke  sivā  kuchh  bhī  nahīñ
maiñ  kisī  tarah  bhī  samjhauta  nahīñ  kar  saktā
yā  to  sab  kuchh  hī  mujhe  chāhiye  yā  kuchh  bhī  nahīñ
kaise  jaanā  hai  kahāñ  jaanā  hai  kyuuñ  jaanā  hai
ham  ki  chalte  chale  jaate  haiñ  patā  kuchh  bhī  nahīñ
haa.e  is  shahr  kī  raunaq  ke  maiñ  sadqe  jā.ūñ
aisī  bharpūr  hai  jaise  ki  huā  kuchh  bhī  nahīñ
phir  koī  taaza  suḳhan  dil  meñ  jagah  kartā  hai
jab  bhī  lagtā  hai  ki  likhne  ko  bachā  kuchh  bhī  nahīñ
ab  maiñ  kyā  apnī  mohabbat  kā  bharam  bhī  na  rakhūñ
maan  letā  huuñ  ki  us  shaḳhs  meñ  thā  kuchh  bhī  nahīñ
maiñ  ne  duniyā  se  alag  rah  ke  bhī  dekhā  'javvād'
aisī  muñh-zor  udāsī  kī  davā  kuchh  bhī  nahīñ