ek  tasvīr  ki  avval  nahīñ  dekhī  jaatī
dekh  bhī  luuñ  to  musalsal  nahīñ  dekhī  jaatī
dekhī  jaatī  hai  mohabbat  meñ  har  ik  jumbish-e-dil
sirf  sāñsoñ  kī  rehearsal  nahīñ  dekhī  jaatī
ik  to  vaise  baḌī  tārīk  hai  ḳhvāhish-nagrī
phir  tavīl  itnī  ki  paidal  nahīñ  dekhī  jaatī
aisā  kuchh  hai  bhī  nahīñ  jis  se  tujhe  bahlāūñ
ye  udāsī  bhī  musalsal  nahīñ  dekhī  jaatī
sāmne  ik  vahī  sūrat  nahīñ  rahtī  aksar
jo  kabhī  aañkh  se  ojhal  nahīñ  dekhī  jaatī
maiñ  ne  ik  umr  se  baTve  meñ  sambhālī  huī  hai
vahī  tasvīr  jo  ik  pal  nahīñ  dekhī  jaatī
ab  mirā  dhyān  kahīñ  aur  chalā  jaatā  hai
ab  koī  film  mukammal  nahīñ  dekhī  jaatī
ik  maqām  aisā  bhī  aatā  hai  safar  meñ  'javvād'
sāmne  ho  bhī  to  daldal  nahīñ  dekhī  jaatī