us  ne  koī  to  dam  paḌhā  huā  hai
jis  ne  dekhā  vo  mubtalā  huā  hai
ab  tire  rāste  se  bach  niklūñ
ik  yahī  rāsta  bachā  huā  hai
aao  taqrīb-e-rū-numā.ī  kareñ
paañv  meñ  ek  aabla  huā  hai
phir  vahī  bahs  chheḌ  dete  ho
itnī  mushkil  se  rābta  huā  hai
raat  kī  vārdāt  mat  pūchho
vāqa.ī  ek  vāqi.a  huā  hai
lag  rahā  hai  ye  narm  lahje  se
phir  tujhe  koī  mas.ala  huā  hai
maiñ  kahāñ  aur  vo  fasīl  kahāñ
fāsle  kā  hī  faisla  huā  hai
itnā  masrūf  ho  gayā  huuñ  ki  bas
'mīr'  bhī  ik  taraf  paḌā  huā  hai
aaj  kuchh  bhī  nahīñ  huā  'javvād'
haañ  magar  ek  sāneha  huā  hai