idhar ye haal ki chhūne kā iḳhtiyār nahīñ
udhar vo husn ki āñkhoñ pe e'tibār nahīñ
maiñ ab kisī kī bhī ummīd toḌ saktā huuñ
mujhe kisī pe bhī ab koī e'tibār nahīñ
tum apnī hālat-e-ġhurbat kā ġham manāte ho
ḳhudā kā shukr karo mujh se be-dayār nahīñ
maiñ sochtā huuñ ki vo bhī dukhī na ho jaa.e
ye dāstān koī aisī ḳhush-gavār nahīñ
to kyā yaqīn dilāne se maan jāoge?
yaqīñ dilā.ūñ ki ye hijr dil pe baar nahīñ
qadam qadam pe na.ī Thokareñ haiñ rāhoñ meñ
dayār-e-ishq meñ koī bhī kāmgār nahīñ
yahī sukūn mirī be-kalī na ban jaa.e
ki zindagī meñ koī vaj.h-e-intizār nahīñ
ḳhudā ke baare meñ ik din zarūr socheñge
abhī to ḳhud se ta.alluq bhī ustuvār nahīñ
gila to mujh se vo kartā hai is tarah 'javvād'
ki jaise maiñ to judā.ī meñ sogvār nahīñ