idhar  ye  haal  ki  chhūne  kā  iḳhtiyār  nahīñ
udhar  vo  husn  ki  āñkhoñ  pe  e'tibār  nahīñ
maiñ  ab  kisī  kī  bhī  ummīd  toḌ  saktā  huuñ
mujhe  kisī  pe  bhī  ab  koī  e'tibār  nahīñ
tum  apnī  hālat-e-ġhurbat  kā  ġham  manāte  ho
ḳhudā  kā  shukr  karo  mujh  se  be-dayār  nahīñ
maiñ  sochtā  huuñ  ki  vo  bhī  dukhī  na  ho  jaa.e
ye  dāstān  koī  aisī  ḳhush-gavār  nahīñ
to  kyā  yaqīn  dilāne  se  maan  jāoge?
yaqīñ  dilā.ūñ  ki  ye  hijr  dil  pe  baar  nahīñ
qadam  qadam  pe  na.ī  Thokareñ  haiñ  rāhoñ  meñ
dayār-e-ishq  meñ  koī  bhī  kāmgār  nahīñ
yahī  sukūn  mirī  be-kalī  na  ban  jaa.e
ki  zindagī  meñ  koī  vaj.h-e-intizār  nahīñ
ḳhudā  ke  baare  meñ  ik  din  zarūr  socheñge
abhī  to  ḳhud  se  ta.alluq  bhī  ustuvār  nahīñ
gila  to  mujh  se  vo  kartā  hai  is  tarah  'javvād'
ki  jaise  maiñ  to  judā.ī  meñ  sogvār  nahīñ