mire  havās  pe  haavī  rahī  koī  koī  baat
ki  zindagī  se  sivā  ḳhaas  thī  koī  koī  baat
ye  aur  baat  ki  mahsūs  tak  na  hone  duuñ
jakaḌ  sī  letī  hai  dil  ko  tirī  koī  koī  baat
koī  bhī  tujh  sā  mujhe  hū-ba-hū  kahīñ  na  malā
kisī  kisī  meñ  agarche  milī  koī  koī  baat
ḳhushī  hui  ki  mulāqāt  rā.egāñ  na  ga.ī
use  bhī  merī  tarah  yaad  thī  koī  koī  baat
badan  meñ  zahr  kai  mānind  phail  jaatī  hai
diloñ  meñ  ḳhauf  se  sahmī  hui  koī  koī  baat
kabhī  samajh  nahīñ  paa.e  ki  us  meñ  kyā  hai  magar
chalī  to  aise  ki  bas  chal  paḌī  koī  koī  baat
vazāhatoñ  meñ  ulajh  kar  yahī  khilā  'javvād'
zarūrī  hai  ki  rahe  an-kahī  koī  koī  baat