nahīñ  ki  pand-o-nasīhat  kā  qaht  paḌ  gayā  hai
hamārī  baat  meñ  barakat  kā  qaht  paḌ  gayā  hai
to  phir  ye  radd-e-munājāt  kī  nahūsat  kyuuñ
kabhī  sunā  ki  ibādat  kā  qaht  paḌ  gayā  hai?
malāl  ye  hai  ki  is  par  koī  malūl  nahīñ
hamāre  shahr  meñ  hairat  kā  qaht  paḌ  gayā  hai
suḳhan  kā  khokhlā  honā  samajh  se  bāhar  thā
khulā  ki  harf  kī  hurmat  kā  qaht  paḌ  gayā  hai
kahīñ  kahīñ  nazar  aa.e  to  aa.e  misra-e-tar
nahīñ  to  sher  meñ  lazzat  kā  qaht  paḌ  gayā  hai
nasīb  dil  ko  bhalā  kab  rahī  farāvānī
aur  ab  to  vaise  bhī  muddat  kā  qaht  paḌ  gayā  hai
magar  ab  aisī  bhī  koī  andher-nagrī  nahīñ
ye  Thiik  hai  ki  mohabbat  kā  qaht  paḌ  gayā  hai
nahīñ  maiñ  sirf  ba-zāhir  nahīñ  huā  vīrān
darūn-e-zāt  bhī  shiddat  kā  qaht  paḌ  gayā  hai
kahāñ  ga.iiñ  mire  gaañv  kī  raunaqeñ  'javvād'
to  kyā  yahāñ  bhī  rivāyat  kā  qaht  paḌ  gayā  hai