darguzar  jitnā  kiyā  hai  vahī  kaafī  hai  mujhe
ab  tujhe  qatl  bhī  kar  duuñ  to  muāfī  hai  mujhe
mas.ala  aise  koī  hal  to  na  hogā  shāyad
sher  kahnā  hī  mire  ġham  kī  talāfī  hai  mujhe
daf.atan  ik  na.e  ehsās  ne  chauñkā  sā  diyā
maiñ  to  samjhā  thā  ki  har  saañs  izāfī  hai  mujhe
maiñ  na  kahtā  thā  davā.eñ  nahīñ  kaam  ā.eñgī
jāntā  thā  tirī  āvāz  hī  shāfī  hai  mujhe
is  se  andāza  lagāo  ki  maiñ  kis  haal  meñ  huuñ
ġhair  kā  dhyān  bhī  ab  va.ada-ḳhilāfī  hai  mujhe
vo  kahīñ  sāmne  aa  jaa.e  to  kyā  ho  'javvād'
yaad  hī  us  kī  agar  sīna-shigāfī  hai  mujhe