TūTne  par  koī  aa.e  to  phir  aisā  TuuTe
ki  jise  dekh  ke  har  dekhne  vaalā  TuuTe
tū  use  kis  ke  bharose  pe  nahīñ  kaat  rahī??
charḳh  ko  dekhne  vālī!!  tirā  charḳha  TuuTe
apne  bikhre  hue  TukḌoñ  ko  sameTe  kab  tak??
ek  insān  kī  ḳhātir  koī  kitnā  TuuTe
koī  TukḌā  tirī  āñkhoñ  meñ  na  chubh  jaa.e  kahīñ
duur  ho  jā  ki  mire  ḳhvāb  kā  shīsha  TuuTe
maiñ  kisī  aur  ko  sochūñ  to  mujhe  hosh  aa.e
maiñ  kisī  aur  ko  dekhūñ  to  ye  nashsha  TuuTe
rañj  hotā  hai  to  aisā  ki  batā.e  na  bane
jab  kisī  apne  ke  baa.is  koī  apnā  TuuTe
paas  baiThe  hue  yāroñ  ko  ḳhabar  tak  na  huī
ham  kisī  baat  pe  is  darja  anokhā  TuuTe
itnī  jaldī  to  sambhalne  kī  tavaqqo  na  karo!!
vaqt  hī  kitnā  huā  hai  mirā  sapnā  TuuTe
daad  kī  bhiik  na  māñg!!  ai  mire  achchhe  shā.er!!
jā  tujhe  merī  duā  hai  tirā  kaasa  TuuTe
varna  kab  tak  liye  phirtā  rahūñ  us  ko  'javvād'
koī  sūrat  ho  ki  ummīd  se  rishta  TuuTe