maulā  kisī  ko  aisā  muqaddar  na  dījiyo
dilbar  nahīñ  to  phir  koī  dīgar  na  dījiyo
apne  savāl  sahl  na  lagne  lageñ  use
aate  bhī  hoñ  javāb  to  far-far  na  dījiyo
chādar  vo  dījiyo  use  jis  par  shikan  na  aa.e
jis  par  shikan  na  aa.e  vo  bistar  na  dījiyo
aa.e  na  kār-e-shukr-guzārī  pe  koī  harf
jab  dījiyo  to  zarf  se  baḌh  kar  na  dījiyo
bikhrāo  kuchh  nahīñ  bhī  simaTte  mire  aziiz
apne  kisī  ḳhayāl  ko  paikar  na  dījiyo
tafrīq  rahne  dījiyo  tārīf-o-tanz  meñ
ab  ke  sharāb  zahr  milā  kar  na  dījiyo
yā  dil  se  tark  kījiyo  dastār  kā  ḳhayāl
yā  us  muāmle  meñ  kabhī  sar  na  dījiyo
kahiyo  ki  tū  ne  ḳhuub  banā.ī  hai  kā.enāt
lekin  use  likhā.ī  ke  number  na  dījiyo
me.aar  se  sivā  yahāñ  raftār  chāhiye
'javvād'  us  ko  āḳhirī  over  na  dījiyo