ye  vahm  jaane  mere  dil  se  kyuuñ  nikal  nahīñ  rahā
ki  us  kā  bhī  mirī  tarah  se  jī  sambhal  nahīñ  rahā
koī  varaq  dikhā  jo  ashk-e-ḳhūñ  se  tar-ba-tar  na  ho
koī  ġhazal  dikhā  jahāñ  vo  daaġh  jal  nahīñ  rahā
maiñ  ek  hijr-e-be-murād  jheltā  huuñ  raat  din
jo  aise  sabr  kī  tarah  hai  jis  kā  phal  nahīñ  rahā
to  ab  mire  tamām  rañj  mustaqil  raheñge  kyaa?
to  kyā  tumhārī  ḳhāmushī  kā  koī  hal  nahīñ  rahā?
kaḌī  masāfatoñ  ne  kis  ke  paañv  shal  nahīñ  kiye?
koī  dikhāo  jo  bichhaḌ  ke  haath  mal  nahīñ  rahā