nahīñ  aisā  bhī  ki  yaksar  nahīñ  rahne  vaalā
dil  meñ  ye  shor  barābar  nahīñ  rahne  vaalā
jis  tarah  ḳhāmushī  lafzoñ  meñ  Dhalī  jaatī  hai
is  meñ  tāsīr  kā  unsur  nahīñ  rahne  vaalā
ab  ye  kis  shakl  meñ  zāhir  ho,  ḳhudā  hī  jaane
rañj  aisā  hai  ki  andar  nahīñ  rahne  vaalā
maiñ  use  chhoḌnā  chāhūñ  bhī  to  kaise  chhoḌūñ?
vo  kisī  aur  kā  ho  kar  nahīñ  rahne  vaalā
ġhaur  se  dekh  un  āñkhoñ  meñ  nazar  aatā  hai
vo  samundar  jo  samundar  nahīñ  rahne  vaalā
jurm  vo  karne  kā  sochā  hai  ki  bas  ab  kī  baar
koī  ilzām  mire  sar  nahīñ  rahne  vaalā
maiñ  ne  hālāñki  bahut  vaqt  guzārā  hai  yahāñ
ab  maiñ  is  shahr  meñ  pal  bhar  nahīñ  rahne  vaalā
maslahat  lafz  pe  do  harf  na  bhejūñ?  'javvād'
jab  mire  saath  muqaddar  nahīñ  rahne  vaalā