tum  koī  is  se  tavaqqo  na  lagānā  mare  dost
ye  zamāna  hai  zamāna  hai  zamāna  mire  dost
sāmne  to  ho  tasavvur  meñ  kahānī  koī
ik  haqīqat  se  baḌā  ek  fasāna  mire  dost
mere  beTe  maiñ  tumheñ  dost  samajhne  lagā  huuñ
tum  baḌe  ho  ke  mujhe  duniyā  dikhānā  mire  dost
dekh  saktā  bhī  nahīñ  mujh  ko  zarūrat  bhī  nahīñ
merī  tasvīr  magar  us  ko  dikhānā  mire  dost
kahne  vaale  ne  kahā  dekh  ke  chehra  merā
ġham-e-ḳhazāna  hai  ise  sab  se  chhupānā  mire  dost
terī  mahfil  ke  liye  bā.is-e-barkat  hogā
nā-murādān-e-mohabbat  ko  bulānā  mire  dost
tum  ko  ma.alūm  to  hai  mujh  pe  jo  guzrī  'taimūr'
pūchh  kar  mujh  se  zarūrī  hai  rulānā  mire  dost