Meer Kallu Arsh

wufur-e-zof se dil yar par nahin aata

Meer Kallu Arsh

Lucknow, Uttar pradesh, India

1783-1867

vufūr-e-zof se dil yaar par nahīñ aatā

ġham-e-firāq meñ jiinā nazar nahīñ aatā

nigāh-e-dīda-e-dil se nazar nahīñ aatā

ḳhayāl-e-yār bhī do do pahar nahīñ aatā

visāl-e-dost bhī bād-e-visāl hai shāyad

ki jo udhar ko gayā phir idhar nahīñ aatā

ġhubār-e-chashm bhī hai justujū meñ sargardāñ

havā meñ ḳhaak bhī vo rāhbar nahīñ aatā

chaḌhā.e gor-e-ġharībāñ pe kaun chādar-e-gul

charāġh le ke koī qabr par nahīñ aatā

ye roz shaam se hai sub.h tak ḳhud-ārā.ī

ki shab ko ā.īna bhī apne ghar nahīñ aatā

na sham.a-rū pe bhī duuñ jaan misl-e-parvāna

ki nām-e-ishq ko badnām kar nahīñ aatā

maiñ shab ko ke use 'arsh' ḳhaak huuñ ham-ḳhvāb

vo shoḳh ḳhāna-ḳharāb apne ghar nahīñ aatā

Top Urdushayar.com