Meer Kallu Arsh

main dariya-e-qanaat-ashna hun

Meer Kallu Arsh

Lucknow, Uttar pradesh, India

1783-1867

maiñ dariyā-e-qanā.at-āshnā huuñ

maiñ mauj-e-nishān-e-boriyā huuñ

maiñ āshiq-e-chashm-e-surma-sā huuñ

gar ḳhaak bhī huuñ to tūtiyā huuñ

tiflī se vahshat-āshnā huuñ

maiñ us dāman-e-dasht meñ palā huuñ

dekhe jo mujhe jahāñ ko dekhe

maiñ ā.ina-e-jahāñ-numā huuñ

chal sakte nahīñ jo baaġh tak bhī

tā.ūs-sifat adū-e-pā huuñ

dīvāna jo huuñ to huuñ maiñ ḳhāmosh

zanjīr jo huuñ to be-sadā huuñ

tā-gor bhī sifat se na pahuñchūñ

bil-farz agar hazār huuñ

sohbat ho bar.ār kis tarah yaar

shaah hai aur maiñ gadā huuñ

har sher meñ zulf hai tārīf

is bahr meñ mauj-āshnā huuñ

suntā nahīñ ek but mirā haal

fariyādī tujh se ai ḳhudā huuñ

kahtī hai zabān-e-hāl se maut

maiñ dard-e-firāq davā huuñ

kahtī hai ye ruuh tan se har-dam

ḳhaak jo ho to maiñ davā huuñ

ye tausan-e-umr garm-raftār

kahtā hai maiñ ab charāġh-pā huuñ

ai 'arsh' ziyārat ab karūñgā

maiñ rah-rav-e-dasht-e-karbalā huuñ

Top Urdushayar.com