Taimur Hasan

nahin uDaunga KHak roya nahin karunga

Taimur Hasan

Lahore, Punjab, Pakistan

1974
nahīñ uḌā.ūñgā ḳhaak royā nahīñ karūñgā
karūñgā maiñ ishq par tamāshā nahīñ karūñgā
mirī mohabbat bhī ḳhaas hai kyūñki ḳhaas huuñ maiñ
so aam logoñ meñ zikr is kā nahīñ karūñgā
use batāo farār kā naam to nahīñ ishq
jo kah rahā hai maiñ kār-e-duniyā nahīñ karūñgā
kabhī na sochā thā guftugū bhī karūñgā ghanToñ
aur apnī bātoñ meñ zikr terā nahīñ karūñgā
irādatan jo kiyā hai ab tak ġhalat kiyā hai
so ab koī kaam bil-irāda nahīñ karūñgā
tujhe maiñ apnā nahīñ samajhtā isī liye to
zamāne tujh se maiñ koī shikva nahīñ karūñgā
mirī tavajjoh faqat mire kaam par rahegī
maiñ ḳhud ko sābit karūñgā da.avā nahīñ karūñgā
agar maiñ haarā to maan lūñgā shikast apnī
tirī tarah se koī bahāna nahīñ karūñgā
agar kisī maslahat meñ pīchhe haTā huuñ 'taimūr'
to mat samajhnā ki ab maiñ hamla nahīñ karūñgā
Top Urdushayar.com