bahār  aane  kī  ummīd  ke  ḳhumār  meñ  thā
ḳhizāñ  ke  daur  meñ  bhī  mausam-e-bahār  meñ  thā
jise  sunāne  gayā  thā  maiñ  zindagī  kī  navīd
vo  shaḳhs  āḳhirī  hichkī  ke  intizār  meñ  thā
sipāh-e-aql-o-ḳhirad  mujh  pe  hamla-āvar  thī
magar  maiñ  ishq  ke  mazbūt-tar  hisār  meñ  thā
mirā  nasīb  chamaktā  bhī  kis  tarah  āḳhir
mirā  sitārā  kisī  dūsre  madār  meñ  thā
uThā  ke  haath  duā  māñgnā  hī  baaqī  hai
vagarna  kar  chukā  sab  kuchh  jo  iḳhtiyār  meñ  thā
use  to  is  liye  chhoḌā  thā  vo  nihattā  hai
ḳhabar  na  thī  ki  vo  mauqe  ke  intizār  meñ  thā
vo  kah  rahā  thā  mujhe  naaz  apne  ijz  pe  hai
ajab  tarah  kā  ġhurūr  us  ke  inkisār  meñ  thā