Bashir Badr

main tumko bhul bhi sakta hun is jahan ke liye

Bashir Badr

Ayodhya, Uttar pradesh, India

1935
maiñ tum ko bhuul bhī saktā huuñ is jahāñ ke liye
zarā sā jhuuT zarūr hai dāstāñ ke liye
mire laboñ pe koī buuñd Tapkī aañsū kī
ye qatra kaafī thā jalte hue makāñ ke liye
maiñ kyā dikhā.ūñ mire taar taar dāman meñ
na kuchh yahāñ ke liye hai na kuchh vahāñ ke liye
ġhazal bhī is tarah us ke huzūr laayā huuñ
ki jaise bachcha koī aa.e imtihāñ ke liye
Top Urdushayar.com