Bashir Badr

ye charagh be-nazar hai ye sitara be-zaban hai

Bashir Badr

Ayodhya, Uttar pradesh, India

1935

ye charāġh be-nazar hai ye sitāra be-zabāñ hai

abhī tujh se miltā-jultā koī dūsrā kahāñ hai

vahī shaḳhs jis pe apne dil-o-jāñ nisār kar duuñ

vo agar ḳhafā nahīñ hai to zarūr bad-gumāñ hai

kabhī ke tujh ko khonā kabhī kho ke tujh ko paanā

ye janam janam rishta tire mere darmiyāñ hai

mire saath chalne vaale tujhe kyā milā safar meñ

vahī dukh-bharī zamīñ hai vahī ġham āsmāñ hai

maiñ isī gumāñ meñ barsoñ baḌā mutma.in rahā huuñ

tirā jism be-taġhayyur mirā pyaar jāvedāñ hai

unhīñ rāstoñ ne jin par kabhī tum the saath mere

mujhe rok rok pūchhā tirā ham-safar kahāñ hai

Top Urdushayar.com