Bashir Badr

zarron mein kunmunati hui kaenat hun

Bashir Badr

Ayodhya, Uttar pradesh, India

1935
zarroñ meñ kunmunātī huī kā.enāt huuñ
jo muntazir hai jismoñ kī maiñ vo hayāt huuñ
donoñ ko pyāsā maar rahā hai koī yazīd
ye zindagī husain hai aur maiñ furāt huuñ
neza zamīñ pe gaaḌ ke ghoḌe se kuud jā
par maiñ zamīñ pe ābla-pā ḳhālī haat huuñ
kaisā falak huuñ jis pe samundar savār hai
sūraj bhī mere sar pe hai maiñ kaisī raat huuñ
andhe kueñ meñ maar ke jo pheñk aa.e the
un bhā.iyoñ se kahiyo abhī tak hayāt huuñ
aatī huī train ke jo aage rakh ga.ī
us maañ se ye na kahnā ba-qaid-e-hayāt huuñ
bāzār kā naqīb samajh kar mujhe na chheḌ
ḳhāmosh rahne de maiñ tire ghar kī baat huuñ
Top Urdushayar.com