nazar  jhukī  hai  ye  sar  tumhārā  agar  jhukā  hai
nazar  se  girne  ke  baad  koī  kahāñ  uThā  hai
yaqīñ  nahīñ  gar  laboñ  ko  izn-e-kalām  de  ab
tumhāre  hoñToñ  pe  naam  merā  kahīñ  rukā  hai
asīr-zāde  sabhī  qafas  ke  himāyatī  haiñ
ġhulām-zāde  raheñge  āḳhir  yahī  sazā  hai
ḳhudārā  tohmat  lagā  nahīñ  maiñ  vahāñ  nahīñ  thā
jahāñ  qabīla  tirī  anāoñ  kā  jā  luTā  hai
duā  ke  pardoñ  meñ  dard  ginñe  lagā  to  dekhā
ki  dard-e-ishqāñ  har  ek  dukh  meñ  chhupā  huā  hai
bhalā  maiñ  dāġh-e-mafāriqat  kī  misāl  kyā  duuñ
ye  daaġh  jis  ko  lagā  vo  suulī  chaḌhā  diyā  hai
kuchal  hī  Daalā  hai  dard-e-hijrāñ  kī  āhaToñ  ne
mire  ḳhayāloñ  ne  vasl-lamha  agar  bunā  hai
ġhazal  gavāh  hai  koī  nahīñ  hai  tumhārā  saanī
'ḳhalīl'  terā  suḳhan  taḳhayyul  se  māvarā  hai