yūñhī  be-sabab  na  phirā  karo  koī  shaam  ghar  meñ  rahā  karo
vo  ġhazal  kī  sachchī  kitāb  hai  use  chupke  chupke  paḌhā  karo
koī  haath  bhī  na  milā.egā  jo  gale  miloge  tapāk  se
ye  na.e  mizāj  kā  shahr  hai  zarā  fāsle  se  milā  karo
abhī  raah  meñ  ka.ī  moḌ  haiñ  koī  aa.egā  koī  jā.egā
tumheñ  jis  ne  dil  se  bhulā  diyā  use  bhūlne  kī  duā  karo
mujhe  ishtihār  sī  lagtī  haiñ  ye  mohabbatoñ  kī  kahāniyāñ
jo  kahā  nahīñ  vo  sunā  karo  jo  sunā  nahīñ  vo  kahā  karo
kabhī  husn-e-parda-nashīñ  bhī  ho  zarā  āshiqāna  libās  meñ
jo  maiñ  ban  sañvar  ke  kahīñ  chalūñ  mire  saath  tum  bhī  chalā  karo
nahīñ  be-hijāb  vo  chāñd  sā  ki  nazar  kā  koī  asar  na  ho
use  itnī  garmī-e-shauq  se  baḌī  der  tak  na  takā  karo
ye  ḳhizāñ  kī  zard  sī  shaal  meñ  jo  udaas  peḌ  ke  paas  hai
ye  tumhāre  ghar  kī  bahār  hai  use  āñsuoñ  se  harā  karo