Bashir Badr

sau KHulus baaton mein sab karam KHayalon mein

Bashir Badr

Ayodhya, Uttar pradesh, India

1935
sau ḳhulūs bātoñ meñ sab karam ḳhayāloñ meñ
bas zarā vafā kam hai tere shahr vāloñ meñ
pahlī baar nazroñ ne chāñd bolte dekhā
ham javāb kyā dete kho ga.e savāloñ meñ
raat terī yādoñ ne dil ko is tarah chheḌā
jaise koī chuTkī le narm narm gāloñ meñ
yuuñ kisī kī āñkhoñ meñ sub.h tak abhī the ham
jis tarah rahe shabnam phuul ke pyāloñ meñ
merī aañkh ke taare ab na dekh pāoge
raat ke musāfir the kho ga.e ujāloñ meñ
jaise aadhī shab ke ba.ad chāñd niiñd meñ chauñke
vo gulāb kī jumbish un siyāh bāloñ meñ
Top Urdushayar.com