Bashir Badr

dua karo ki ye pauda sada hara hi lage

Bashir Badr

Ayodhya, Uttar pradesh, India

1935
duā karo ki ye paudā sadā harā hī lage
udāsiyoñ meñ bhī chehra khilā khilā hī lage
vo sādgī na kare kuchh bhī to adā hī lage
vo bhol-pan hai ki bebākī bhī hayā hī lage
ye zāfrānī pullover usī kā hissa hai
koī jo dūsrā pahne to dūsrā hī lage
nahīñ hai mere muqaddar meñ raushnī na sahī
ye khiḌkī kholo zarā sub.h kī havā hī lage
ajiib shaḳhs hai nārāz ho ke hañstā hai
maiñ chāhtā huuñ ḳhafā ho to vo ḳhafā hī lage
hasīñ to aur haiñ lekin koī kahāñ tujh sā
jo dil jalā.e bahut phir bhī dilrubā hī lage
hazāroñ bhes meñ phirte haiñ raam aur rahīm
koī zarūrī nahīñ hai bhalā bhalā hī lage
Top Urdushayar.com