udaas  āñkhoñ  se  aañsū  nahīñ  nikalte  haiñ
ye  motiyoñ  kī  tarah  sīpiyoñ  meñ  palte  haiñ
ghane  dhueñ  meñ  farishte  bhī  aañkh  malte  haiñ
tamām  raat  khujūroñ  ke  peḌ  julte  haiñ
maiñ  shāhrāh  nahīñ  rāste  kā  patthar  huuñ
yahāñ  savār  bhī  paidal  utar  ke  chalte  haiñ
unheñ  kabhī  na  batānā  maiñ  un  kī  āñkhoñ  meñ
vo  log  phuul  samajh  kar  mujhe  masalte  haiñ
ka.ī  sitāroñ  ko  maiñ  jāntā  huuñ  bachpan  se
kahīñ  bhī  jā.ūñ  mire  saath  saath  chalte  haiñ
ye  ek  peḌ  hai  aa  is  se  mil  ke  ro  leñ  ham
yahāñ  se  tere  mire  rāste  badalte  haiñ