be-khabar-e-hayāt  thā  ġham  ne  mujhe  jagā  diyā
ziist  kā  raaz  khol  kar  maut  kā  aasrā  diyā
zulf-e-siyah  kī  yaad  meñ  ḳhauf-e-pas-e-fanā  kahāñ
tūl-e-shab-e-firāq  ne  sub.h  kā  ġham  miTā  diyā
maut  kahīñ  nahīñ  hameñ  aur  kahāñ  nahīñ  hai  maut
kis  ne  banā  ke  saḳht-jāñ  siine  meñ  dil  banā  diyā
talḳh  to  thā  ġham-e-hayāt  itnā  na  talḳh  thā  magar
pūchh  ke  tum  ne  hāl-e-dil  zahr  mujhe  pilā  diyā
aa  ke  palaT  gayā  koī  aur  na  hameñ  ḳhabar  huī
kaif-e-ummīd-e-dīd  ne  shaam  hī  se  sulā  diyā
ġham-kada-e-hayāt  meñ  aah  maiñ  vo  charāġh  huuñ
sub.h  huī  jalā  diyā  shaam  huī  bujhā  diyā
haa.e  vo  dard  kyā  huā  jis  se  thī  zindagī  mirī
ḳhud  hī  miTā  nahīñ  hai  dil  dil  ne  mujhe  miTā  diyā
haif  ki  be-kasī  kī  sharm  aaj  'jigar'  na  rah  sakī
ujḌe  hue  mazār  par  kis  ne  diyā  jalā  diyā