maut  jab  tak  nazar  nahīñ  aatī
zindagī  raah  par  nahīñ  aatī
tark-e-tadbīr  bhī  nahīñ  āsāñ
raas  tadbīr  agar  nahīñ  aatī
markaz-e-dil  pe  jo  nahīñ  qaa.em
vo  nazar  raah  par  nahīñ  aatī
dil  ko  lazzat-shanās-e-ġham  kar  leñ
maut  ham  ko  agar  nahīñ  aatī
jis  ne  terī  nazar  ko  dekh  liyā
us  ko  duniyā  nazar  nahīñ  aatī
vo  kabhī  mehrbān  ho  jaatā
aisī  sūrat  nazar  nahīñ  aatī
jiite  jī  ke  haiñ  saare  hañgāme
mar  ke  phir  kuchh  ḳhabar  nahīñ  aatī
aah  kyā  ho  gayā  zamāne  ko
ab  muravvat  nazar  nahīñ  aatī
hai  unheñ  to  vaqār-e-ijz-o-niyāz
vo  tamannā  jo  bar  nahīñ  aatī
zindagī  se  nibāhe  jā.eñge
maut  jab  tak  nazar  nahīñ  aatī
ashk-e-paiham  'jigar'  nahīñ  thamte
raah  par  chashm-e-tar  nahīñ  aatī